charagh-e-tanaffus bujha chahta hai khuda jaane ab kya khuda chahta hai yahan jo kisi ka bhala chahta hai zamana usi ka bura chahta hai mubarak ho tum ko ziya-pash raaten mera ghar faqat ek diya chahta hai nahin koi rukta shajar ho jo sukha parinda bhi saya ghana chahta hai bahut ho chuki hain mohabbat ki baaten adab aaj lahja naya chahta hai kinare pahunchna zaruri hai 'sahil' samundar mein tufan utha chahta hai