ghar ko yun todo ki phir hasrat-e-tamir na ho koi taqdir na ho aur koi tadbir na ho aise mar jaen koi naqsh na chhoden apna yaad dil mein na ho akhbar mein taswir na ho baithe baithe yunhi andhiyare mein zail ho jaen koi dam-saz na ho koi khabar-gir na ho nind mein titliyan aankhon mein lahakti jaen khwab dekhen magar us khwab ki tabir na ho kaun santa hai mere sher yahan ab 'mamun' ain-mumkin hai meri baat mein tasir na ho