barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho ai kash hamari aankhon ka ikkiswan khwab to achchha ho har patta na-asuda hai mahaul-e-chaman aaluda hai rah jaen larazti shakhon par do chaar gulab to achchha ho yun shor ka dariya biphra hai chidiyon ne chahakna chhod diya khatre ke nishan se niche ab utre sailab to achchha ho har sal ki aakhiri shamon mein do chaar waraq ud jate hain ab aur na bikhre rishton ki bosida kitab to achchha ho har bachcha aankhen kholte hi karta hai sawal mohabbat ka duniya ke kisi goshe se use mil jae jawab to achchha ho