ghar mein aaram ka saya nahin rahne deti ab to tanhai bhi tanha nahin rahne deti muflisi kitni khatarnak hai tum kya jaano ye salamat koi rishta nahin rahne deti ye to achchha hua sanson pe nahin bas us ka warna duniya mujhe zinda nahin rahne deti chahti kya hai ye aawara-mizaji meri ek markaz pe hamesha nahin rahne deti kya buri shai hai ye shohrat ki hawas bhi 'alam' achchhe-achchhon ko bhi achchha nahin rahne deti