ghar mein chandi ke koi sone ke dar rakh jaega wo mere chashme mein jab apni nazar rakh jaega qaid kar le jaega nindon ki sari kaenat han magar palkon pe kuchh sachche guhar rakh jaega sare dukh so jaenge lekin ek aisa gham bhi hai jo mere bistar pe sadiyon ka safar rakh jaega jagmagate jagte rishton ke sar kat jaenge jab koi ehsas ke pinjre mein dar rakh jaega teri fankari ka duniya khud karegi e'tiraf sang-rezon par tu jab shishe ke ghar rakh jaega