aaj phir saqi-e-gulfam se baaten hongi mai-gusaron ki mai-o-jam se baaten hongi phir tere aariz-o-gesu ke nazare honge phir nai subh nai sham se baaten hongi ho chukin aish-o-masarrat se bahut kuchh baaten hongi ab to gham-o-alam se baaten hongi umr-bhar khaenge hum wada-e-farda ka fareb umr-bhar hasrat-e-nakaam se baaten hongi hogi khalwat mein bhi hail na khamoshi mujh ko naqsh-e-diwar-o-dar-o-baam se baaten hongi gardish-e-jam se lab honge mere mahw-e-kalam jab meri gardish-e-ayyam se baaten hongi murgh-e-dil zauq-e-asiri pe hai mail 'ummid' kis ki zulfon ke hasin dam se baaten hongi