ghar mein daraD Dalte rishton ki KHair ho

ghar mein darad dalte rishton ki khair ho
is aastin mein aa base sanpon ki khair ho

wo tutne lagin to suhulat mujhe bhi hai
shab mein qarar bakhshte taron ki khair ho

ye log har qadam pe girane lage mujhe
lekin sambhaalti teri banhon ki khair ho

tu jo nahin to phul to hain aas-pas bhi
is habs mein khile hue ghunchon ki khair ho

ruk sa gaya nadi ka bahaw baras se tha
us mein dhule hue tere pairon ki khair ho

jis samt hun rawan-dawan manzil bhi hai wahin
raston mein ja-ba-ja pade kanton ki khair ho

main kya kahun ki kitne zamane guzar gae
hisse mein mere aaen na khushiyon ki khair ho

mauj-e-fana ne dasht mein la kar jhatak diya
hairat se dekhti teri aankhon ki khair ho

ye iztirab-e-ishq se tohfa mila mujhe
munh ko chida rahe tere lafzon ki khair ho

baghon mein sair karte hue jugnuon mein tum
tum se ziya pakadte charaghon ki khair ho

un ke sabab se hi hui main dar se be-aman
'anam' tumhaare haal pe hanston ki khair ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close