ghup khamoshi jaise qabristan mein hun kya main zinda lashon ke asthan mein hun raat dhale virani milne aati hai jaanti hai main us ke aqd aman mein hun sard hawaen yaad us ki biphra mausam wahshat-e-zist bata main kis ke dhyan mein hun phir sarsabz hue jate hain sare ped lagta hai ek main hi namak ki kan mein hun jaante ho is waqt meri haalat hai kiya kala phul udasi ke gul-dan mein hun wapas jaane wale ghar ko jate hain main aazad parinda kis zindan mein hun lu se ziyaada tez nigahon ki aandhi main jiwan ke aise registan mein hun