ghar mein mehman koi aaj bula kar dekhun dar-o-diwar ko aaina bana kar dekhun be-hisi dard ke bistar pe tadapti rah jae kab se khwabida hun main khud ko jaga kar dekhun chain lene de agar shorish-e-anfas mujhe khud ko aawaz dun us ko bhi bula kar dekhun kaun sa chehra mere kaam yahan aaega muntakhab kar lun to ek chehra laga kar dekhun shiddat-e-garmi-e-ehsas ki paimaish kya koi paikar ho to main hath laga kar dekhun