ghar mera tha aur is mein basar tum ne kiya hai aangan ko mere rahguzar tum ne kiya hai zarron ko mere shams-o-qamar tum ne kiya hai aafaq ko ta-hadd-e-nazar tum ne kiya hai ab is ki ghani chhanw hi sarmaya-e-jaan hai ehsas ke paude ko shajar tum ne kiya hai diwar pe ek jalta diya rakkha tha main ne rukh sari hawaon ka idhar tum ne kiya hai har lamha mujhe milti hai sanson se gawahi mere liye khushbu ka safar tum ne kiya hai