miTTi hun bhigne de mere kuza-gar abhi

mitti hun bhigne de mere kuza-gar abhi
masruf gardishon mein hai dast-e-hunar abhi

khud badh ke qatl-gah mein qatil ke samne
maqtul ho gaya hai bahut ba-asar abhi

chehron bhari kitab mein milti nahin hai ab
dekhi thi teri shakl kisi safha par abhi

chamke the lafz teri samaat ki dhup mein
husn-e-khayal tha ki hawa mo'atabar abhi

dil aablon ka rakhne ko shayad utar pade
abr-e-rawan hai dasht mein mahw-e-safar abhi

hum hain charag-e-akhir-e-shab to malal kya
bujh bhi gae hawa se to hogi sahar abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close