ghar mere aate aate wo dilbar palat gaya wo kya palat gaya ki muqaddar palat gaya hangam-e-qatl dekhne pae na shakl hum talwar mar kar wo sitamgar palat gaya mujh se faqir ko na diya chain ishq ne takiya ulat gaya kabhi bistar palat gaya ai yar dekh kar teri qamat ki rasti gulzar mein har ek sanobar palat gaya naraaz ho ke phir jo gae tum shab-e-visal mera nasib ai mah-e-anwar palat gaya aankhen phira ke tum ne dikhaya jo khal-o-khad barham kachahri ho gai daftar palat gaya kya sar-nigun zamana hua mere samne sar par har ek shah ke afsar palat gaya