hua hai sar mein sauda phir kisi zulf-e-pareshan ka na daman ki khabar hum ko na hosh apne gareban ka kabhi jo dekh len mahfil mein wo in tirchhi nazron se nazar aae saman us waqt phir ganj-e-shahidan ka wo karte to hain wada roz lekin wae-nakaami nahin hai pas un ko kuchh bhi apne ahd-o-paiman ka mujhe dafnane wo aae to madfan mein ye shor uttha tere marne se jaga bakht hai gor-e-ghariban ka tajjub kya pasije ek din dil us sitamgar ka agar ro kar suna dun us ko qissa sham-e-hijran ka meri jaan ka hai talib wo ki dil se phir gaya ab dil zara dekho to 'shaida' moajiza us aafat-e-jaan ka