ghar mujhe raat bhar darae gaya main diya ban ke jhilmilae gaya kal kisi ajnabi ka husn mujhe yaad aaya to yaad aae gaya koi ghael zamin ki aankhon mein nind ki konplen bichhae gaya safar-e-ishq mein badan us ka dur se raushni dikhae gaya apni lahron mein ranj ka mausam aansuon ke kanwal khilae gaya shahr ka ek barg-e-awara dasht-o-dar ki hansi udae gaya aur mera tin sal ka bachcha is himaqat pe muskurae gaya mujh mein kya baat thi rais-farogh wo sajan kyun mujhe rijhae gaya