jab raqibon ka sitam yaad aaya kuchh tumhaara bhi karam yaad aaya kab hamein hajat-e-parhez padi gham na khaya tha ki sam yaad aaya na likha khat ki khat-e-peshani mujh ko hangam-e-raqam yaad aaya shola-e-zakhm se ai said-fagan dagh-e-ahu-e-haram yaad aaya thahre kya dil ki teri shokhi se iztirab-e-pa-e-ham yaad aaya khubi-e-bakht ki paiman-e-adu us ko hangam-e-qasam yaad aaya khul gai ghair se ulfat us ki jam-e-mai se mujhe jam yaad aaya wo mera dil hai ki khud-binon ko dekh kar aaina kam yaad aaya kis liye lutf ki baaten hain phir kya koi aur sitam yaad aaya aise khud-rafta ho ai 'shefta' kyun kahin us shokh ka ram yaad aaya