ghar na dar kuchh nahin raha mahfuz

ghar na dar kuchh nahin raha mahfuz
hai ghanimat ki sar raha mahfuz

lut gaya dil to kya raha mahfuz
un ka gham mera hausla mahfuz

rahnumaon ki hum ko hajat kya
hum ne rakha hai hausla mahfuz

ishq-e-paiham se chashm-e-pur-nam se
koi duniya mein kab raha mahfuz

hum ko munkir na tu samajh waiz
dil mein har samt hai khuda mahfuz

aap par mit ke hum rahe gumnam
aap ki har ada ada mahfuz

bar bar un ke dar pe jaane se
faslon ne hamein rakha mahfuz

ab ki kaisi chali ye baad-e-sumum
jaan mahfuz na rida mahfuz

aaj ek jam-e-khas mere nam
mere saqi ne rakh liya mahfuz

tut kar hum bikhar gae hote
jo na rakhte ye hausla mahfuz

har hazimat ke baad 'farzana'
dil bechaara kahan raha mahfuz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close