ghar nahin basti nahin shor-e-fughan chaaron taraf hai ek chauthai zamin par aasman chaaron taraf hai daudte hain raat-din tin aankh barah hath wale sard sannate mein aawaz-e-sagan chaaron taraf hai launcher rocket clashnikof barudi surangen khun ka dariya pahadon mein rawan chaaron taraf hai jism hai to sar nahin sar hai to dast-o-pa nahin arz-e-pur-asrar mein hu ka saman chaaron taraf hai surmai kohsar ki choti pe barfani parinda bas ki gul ki chah mein gasht-e-khizan chaaron taraf hai ishaare se alamat tak zaban khamosh meri kal 'zubair' apna tha aaj us ka ziyan chaaron taraf hai