jabin se nakhun-e-pa tak dikhai kyun nahin deta wo aaina hai to apni safai kyun nahin deta dikhai de rahe hain samne walon ke hilte lab magar wo kah rahe hain kya sunai kyun nahin deta samundar bhi teri aankhon mein sahra ki tarah gum hai yahan wo tangi-e-ja ki duhai kyun nahin deta jab us ne tod di zanjir diwaren gira di hain asiri ke tasawwur se rihai kyun nahin deta wo khud se bakhsh deta hai jahan-e-ab-o-gil mujh ko talab ke bawajud aakhir gadai kyun nahin deta ab aankhon se nahin hathon se chhuna chahta hun mujhe wo wasl-ameza judai kyun nahin deta 'zubair' ek bar ungli bhi nahin chhune ko milti hai wo apne hasht-pahlu mein rasai kyun nahin deta