ghar se hamein jaane ki zarurat nahin ab kuchh bahar ki hawa aa ke bata jati hai sab kuchh kya tez hai ye mausam-e-baran-e-sukhan bhi labrezi-e-dil kuchh hai nawa-khezi-e-lab kuchh kya dam-e-fusun zinda charaghon ke liye the andaza-e-shab hum ko hua aakhir-e-shab kuchh aam itna raha shohra-e-zar shor-e-sara mein kaam aai nahin narmi-e-tahzib-o-nasab kuchh chup hain ki ek aashob-e-malamat mein ghire hain aae the subuk lahje liye khair-talab kuchh ek shakhs se paiman bahut soch ke bandha phir hum ne tarasha nahin ranjish ka sabab kuchh ai zi-hunaran tez-rawan asr-muridan hum log dua-go hain hamara bhi adab kuchh