hamare zehn mein mahshar bapa hai kya kiya jae ye dil aamada-e-tark-e-wafa hai kya kiya jae musalsal barish-e-sang-e-sada hai kya kiya jae yahi meri wafaon ka sila hai kya kiya jae labon tak aa ke sab harf-e-shikayat tut jate hain ajab andaz se wo dekhta hai kya kiya jae bichhad kar aap se jine ki khwahish kufr hai lekin hamari zindagi hi be-haya hai kya kiya jae ye mana khwab hai ai zakhm-e-nau teri khalish lekin yahan pahle hi ek mela laga hai kya kiya jae hamesha sochte rahna bhi kuchh achchha nahin hota magar shair hamesha sochta hai kya kiya jae wo insan jo mera hamraaz hai ham-zad hai 'qaisar' wo mujh se aaj tak na-ashna hai kya kiya jae