ghar se mera rishta bhi kitna raha

ghar se mera rishta bhi kitna raha
umr bhar ek kone mein baitha raha

apne honton par zaban ko pher kar
aansuon ke zaiqe chakhta raha

wo bhi mujh ko dekh kar jita tha aur
main bhi us ki aankh mein zinda raha

nisbaten thin ret se kuchh is qadar
baadalon ke shahr mein pyasa raha

shahr mein sailab ka tha shor kal
aur main tah-khane mein soya raha

kha rahi thi aag jab kamra 'hasan'
main bas ek taswir se chimta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close