ghar se nikal ke aae hain bazar ke liye ye bhid-bhad achchhi hai be-kar ke liye hum yar ke liye hain na didar ke liye tairis pe aa ke baithe hain akhbar ke liye dil-jui kar raha hai bahut der se tabib kya aakhiri dawa hai ye bimar ke liye main ne to is dayar mein sab kuchh luta diya duniya safar pe jati hai ghar-bar ke liye mere dil-e-tabah mein itni jagah kahan us ne jagah nikali hai diwar ke liye tum ne to mana jurm ka iqrar kar liya lekin mujhe saza mili inkar ke liye ai mah-ru umid ki koi kiran to ho hum jaise tirgi ke giraftar ke liye aisa nahin ki shahar mein aasaniyan na hun lekin wo sab hain lamha-e-dushwar ke liye