ghar se ye soch ke nikla hun ki mar jaana hai ab koi rah dikha de ki kidhar jaana hai jism se sath nibhane ki mat ummid rakho is musafir ko to raste mein thahar jaana hai maut lamhe ki sada zindagi umron ki pukar main yahi soch ke zinda hun ki mar jaana hai nashsha aisa tha ki mai-khane ko duniya samjha hosh aaya to khayal aaya ki ghar jaana hai mere jazbe ki badi qadr hai logon mein magar mere jazbe ko mere sath hi mar jaana hai