use bhula na saki naqsh itne gahre the khayal-o-khwab par mere hazar pahre the wo khush guman the to jo khwab the sunahre the wo bad-guman the andhere the aur gahre the jo aaj hoti koi baat baat ban jati use sunane ke imkan bhi sunahre the samaaton ne kiya raqs mast ho ho kar sada mein us ki hasin bin jaise lahre the hamare dard ki ye dastan sunta kaun yahan to jo bhi the munsif wo sare bahre the chale gae wo sharar bo ke is qabile mein to qatl hone ko 'shahin' hum bhi thahre the