gharanon se mohabbat ki fazaen chhin lete hain sitamgar phul se bachchon ki maen chhin lete hain hamare baadshahon ko hai nafrat shor se itni ki mazlumon se rone ki sadaen chhin lete hain kahin hain kufr ke fatwe kahin shor-e-malamat hai khuda jab log ban jaen jazaen chhin lete hain ilahi teri basti mein ye kaise log baste hain saron par hath rakhte hain ridaen chhin lete hain kisi muflis ki majburi kisi ki bhuk ka sauda khuda ke nam par zalim qabaen chhin lete hain zaban-e-narm se karte hain pahle pyar ki baaten bula kar pas phir jabran hayaen chhin lete hain meri khidki ke aage log utha dete hain diwaren mere kamre ke hisse ki hawaen chhin lete hain mohabbat dher par kachre ke har ek ja bilakti hai ki tohmat bantne wale wafaen chhin lete hain batao kis tarah 'tashna' yahan sairab ho koi samundar khushk sahra se ghataen chhin lete hain