gharaunde khwabon ke suraj ke sath rakh lete paron mein dhup ke ek kali raat rakh lete hamein khabar thi zaban kholte hi kya hoga kahan kahan magar aankhon pe hath rakh lete tamam jangon ka anjam mere nam hua tum apne hisse mein koi to mat rakh lete kaha tha tum se ki ye rasta bhi thik nahin kabhi to qafile walon ki baat rakh lete ye kya kiya ki sabhi kuchh ganwa ke baith gae bharam to banda-e-maula-sifat rakh lete main bewafa hun chalo ye bhi man leta hun bhale bure hi sahi tajrabaat rakh lete