bardasht ki hadon se mera dil guzar gaya aandhi uthi to ret ka tila bikhar gaya tahrik jab jumud ke sanche mein dhal gai aisa laga ki khun ragon mein thahar gaya wo shakhs jis ne umr guzari thi dhup mein thandak ki jaedad mere nam kar gaya main us ko ham-khayal samajhta raha magar sine mein ikhtilaf ka chaqu utar gaya pur-haul waqiat ke gumbad mein hain asir hum kya karen hamari dua ka 'asar' gaya