gharaz nahin mujhe is se ki kya diya tu ne hazar-shukr ki jo kuchh diya diya tu ne khayal-e-khidmat-e-khalq-e-khuda diya tu ne mujhe hayat ka maqsad bata diya tu ne bashar ye kuchh na kiya shar badha diya tu ne juda jo dair se kaba bana diya tu ne doi ka dil se jo parda utha diya tu ne haram ka dair ka jhagda mita diya tu ne najat pai thi mar mar ke qaid-e-hasti se ki phir hayat ka naqsha jama diya tu ne kabhi thin aankhen to aaya nazar na tu mujh ko huin jo band to jalwa dikha diya tu ne nahin hawas mujhe duniya ki jah-o-hashmat ki bahut diya dil-e-dard-ashna diya tu ne jahan mein aane se pahle tha waqif-e-asrar jahan mein aate hi sab kuchh bhula diya tu ne jinhen yaqin hai duniya ki be-sabaati ka unhen azab-e-giran se bacha diya tu ne kahan tha hosh mujhe pi ke baada-e-hasti ajal ba-hosh kaha aur jaga diya tu ne jo dil ke jaan kharidar tha gosha-e-turbat use bhi gardish-e-dauran mita diya tu ne mere siwa tere jalwon ko koi kya jaane tahayyuraat ka aalam dikha diya tu ne wafur-e-nur se wahdat ke bazm-e-kasrat mein har ek zarra mein jalwa dikha diya tu ne wo farq apne parae mein kuchh nahin karte dilon se jin ke man-o-tu mita diya tu ne bahaar-e-be-khudi mamnun hai tera 'sufi' sukun-e-qalb ka aalam dikha diya tu ne