gharibon par nuzul-e-har-bala-e-na-gahan kyon ho ye one way mustaqil traffic bhala ai aasman kyon ho agar aana hua to ek filmi git gaega meri mayyat pe wo hasb-e-riwayat nauha-khwan kyon ho ye kya andaz hai yarab samajhna jis ko mushkil hai zarifana-sitam marghub-e-khu-e-dostan kyon ho utha ke sar se uncha pahle wo mujh ko patakhte hain bahut hi pyar se phir puchhte hain nim-jaan kyon ho mohabbat ko to tum ne koi tug of war samjha hai na khincho gar tum apne ko kashakash darmiyan kyon ho use jab naql karne ki ijazat mil gai tum se adu ko top karna hai to mera imtihan kyon ho bechaara sach jahan se dum daba kar kab ka bhaga hai taaqub mein abhi tak us ke phir sara jahan kyon ho dam-e-guftar jo biwi se aksar mat khata hai sar-e-mimbar wahi waiz bada mojiz-bayan kyon ho ghurur-e-husn ki pasti hai us ka raaz ai 'qazi' jise bachchon se nafrat ho wo das bachchon ki man kyon ho