ab dilae mujhe taskin to aakhir koi de gaya dard ka ehsas muhajir koi meri fariyaad-o-fughan gunj rahi thi lekin mere ghar tak nahin aaya kabhi nasir koi rang udta hua lagta hai har ek titli ka aa gaya bagh mein kya phul ka tajir koi apne daman mein liye jata hai raste ka ghubar chhanw hai hi kahan thahre jo musafir koi har ghadi rakkhi hai gardan pe siyasi talwar kaise zinda rahe akhbar ka nashir koi be-rukhi itni bhi achchhi nahin hoti 'atish' kab se hai pyar ka tohfa liye hazir koi