ghariq-e-jalwa kisi jalwa-gar ko kya dekhe jo teri dhun mein chala rahguzar ko kya dekhe sahar ke sath hi sar par chadha pahad sa din sar-e-khamida jamal-e-sahar ko kya dekhe dabe hue hain makin bar-e-sang-e-ahan se gharib-e-shahr yahan baam-o-dar ko kya dekhe musafiron ki tarah manzilen safar mein hain kidhar ko jae koi rahguzar ko kya dekhe lagan hai sab ko siyasat ki dhun hai daulat ki ab is junun mein koi khair-o-shar ko kya dekhe sukhi hun ghar pe laga kar khulus ki takhti ab aae kaun udhar mere ghar ko kya dekhe nae nisab mein tir-e-nazar ka bab nahin so chaaragar mere zakhm-e-jigar ko kya dekhe