zehan aur dil mein jo rahti hai chubhan khul jae aae kaghaz pe to salma-e-sukhan khul jae qatra-e-dida-e-namnak masihai kare fikr ke band darichon ki shikan khul jae main use roz manata hun sahar hone tak mere allah kisi shab to ye dulhan khul jae ek khushbu si hai jo ruh ki gahrai mein lafz mil jaen to mani ka chaman khul jae is tarah jage kisi roz ghazal ka jadu jaise masti mein piya se koi jogan khul jae nim-shab ijz-o-samajat se karun dast daraaz lafz dhone ke liye aankhon mein sawan khul jae sar-kashi aur tajawuz se bachana yarab mere ehsas mein gar yas ka phan khul jae