gharon ke tale sanbhaal rakkho safar ki saat qarib-tar hai

gharon ke tale sanbhaal rakkho safar ki saat qarib-tar hai
hawa ka rukh ye bata raha hai phir ek hijrat qarib-tar hai

jo fasl boi thi nafraton ki ab us se bharne lage hain aangan
amal jo tum ne kiya hai lagta hai us ki shamat qarib-tar hai

palat ke dil ki taraf hi aana hai phul chehre ki shoalagi ko
khushi ki shiddat bata rahi hai koi aziyyat qarib-tar hai

isi mein umren guzar din hain hum aise khush-fahm gham-zadon ne
ilaj hone ko hai dukhon ka sukun ki surat qarib-tar hai

bata raha hai shafaq ke udte ghubar mein sham ka sitara
utarne wali hai raat phir ek azab-e-zulmat qarib-tar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close