hath kaTte hain jahan sina-o-sar khulte hain

hath katte hain jahan sina-o-sar khulte hain
aise mahaul mein hum ahl-e-hunar khulte hain

din nikalta ho jahan khauf ka neza ban kar
aisi basti mein kahan raat ko dar khulte hain

kaise aaseb ka saya hai mere raste par
gard chhatti hai na asrar-e-safar khulte hain

hum ne ek umr guzari hai inhi khwabon mein
ab qafas tutta hai aur abhi par khulte hain

rukh pe gulshan ke khulen jis ke dariche aksar
su-e-sahra bhi usi shahr ke dar khulte hain

jin zaminon pe khare log basa len khud ko
raste sail-e-bala ke bhi udhar khulte hain

ahl-e-sahil se kaho kashf ki surat 'razmi'
mauj khulti hai kabhi hum pe bhanwar khulte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close