ghataen raqs karti hain ye mausam raqs karte hain wo zulfon ko jab apni kar ke pur-nam raqs karte hain badi masti badi gahrai hai un shokh aankhon mein unhin mein mast ho kar donon aalam raqs karte hain hawaen aane lagti hain kabhi jab un ke daman ki diye bhi kar ke apni lau ko maddham raqs karte hain tumhaare hijr ki raaton mein jab tanhai dasti hai baja kar apni hum sanson ki sargam raqs karte hain bahaaron jhumne lagti hain un ka nam sunte hi saja lete hain gul honton pe shabnam raqs karte hain miyan hum to qalandar hain hamara haal mat puchho hamare sine mein kitne hi sangam raqs karte hain kabhi jab mil ke aate hain kahin tanhai mein un se dariche band kar lete hain aur hum raqs karte hain hazaron bijliyan sadqe mein un ke tut jati hain pahan ke nur ki pael jo hamdam raqs karte hain 'nadim' apni ada aisi hai jis ke samne aa kar khushi madhosh ho jati hai aur gham raqs karte hain