kis tarah par aise bad-khu se safai kijiye jis ki tinat mein yahi ho kaj-adai kijiye jab masiha ki ho marzi kaj-adai kijiye is jagah kya dard-e-dil ki phir dawai kijiye us se khinch rahta hun jab tab ye kahe hai mujh se dil aashiqi ya kijiye ya mirzai kijiye gar ye dil apna kahe mein apne howe naseha baith kar kunj-e-qanaat mein khudai kijiye kya yahi thi shart kuchh insaf ki ai tund-khu jo bhala ho aap se us se burai kijiye wo bhala-changa hua bargashta mujh se aur bhi kya bayan nale ki apne na-rasai kijiye kha gaya laghzish qadam aisa buton ko dekh kar ji mein ye aaya ki tark-e-parsai kijiye aks ho malum us ka ghar hi baithe ai 'surur' pahle zang-e-dil ki jab apne safai kijiye