ghaur se mujh ko dekhta hai kya mere chehre pe kuchh likha hai kya meri aankhon mein jhankta hai kya tujh ko in mein hi dubna hai kya mere honton ko chhu liya us ne kya bataun mujhe hua hai kya ai kabutar zara bata mujh ko un ki chhat par bhi baithta hai kya par kate panchhiyon se puchhte ho tum mein udne ka hausla hai kya fasle ishq mein hi hote hain tujh ko ye bhi nahin pata hai kya meri duniya mein bas tu hi tu hai ab bata tera faisla hai kya pyar se mang li hai jaan us ne mere hisse mein ab bacha hai kya chal kahin dur chalte hain 'nadim' ghar ko jaane mein bhi rakha hai kya