KHud ko duniya mein na uljhao KHuda-ra mohsin

khud ko duniya mein na uljhao khuda-ra mohsin
us ke paigham ka samjho to ishaara mohsin

baith jaana kahin thak haar ke zeba hai kya
tu zamane ka zamana hai tumhaara mohsin

pichhli shab us ki mohabbat ne kaha dhire se
tujh se duri nahin ek pal bhi gawara mohsin

ba-khuda ulfat-e-serwer ki karamat hai ye
jaun kah kar jo zamane ne pukara mohsin

us ki ulfat mein tum hasti ko mita kar dekho
ek din hoga khuda khud hi tumhaara mohsin

kashtiyan par lagana hai bhanwar se tum ko
dubte logon ko dena hai sahaara mohsin

unchi uthti hui lahron mein sada do us ko
abhi mil jaega kashti ko kinara mohsin

subh us shokh ke chehre se uthati hai naqab
gesu-e-husn ko raaton ne sanwara mohsin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close