ghayal hai teri shahzadi shahzade tu ne jo har baat bhula di shahzade har jaanib ho ek munadi shahzade teri ho gai ye shahzadi shahzade hanste hanste roti hun phir hansti hun ishq ne kaisi mujh ko saza di shahzade aaj bhi arsh ko dekha tera nam liya aaj bhi main ne tujh ko dua di shahzade sham dhale to dard bhi apni aamad ki kar deta hai roz munadi shahzade hum ne to bas pyar kiya tha pap nahin logon ne to baat badha di shahzade tujh ko chaha to phir tut ke chaha hai shoalon ko bhi khub hawa di shahzade qabr pe rote rahne se sukh paoge tum ne kitni der laga di shahzade bolo aakhir dil par kya kuchh bitegi tum ne jo har yaad mita di shahzade jitni umr hai baqi wo bhi tere nam jitni thi wo tujh pe luta di shahzade aaj 'rabab' ke lab par chikhi khamoshi khamoshi ne tujh ko sada di shahzade