mere andar bhi mere yar si khamoshi hai yani us par bhi is par si khamoshi hai dastaken deti hun nakaam palat aati hun ek dar hai jahan diwar si khamoshi hai kis musawwir ka tarasha hua shahkar hai tu jo khad-o-khal mein kohsar si khamoshi hai sare ehsas masal degi kuchal jaegi us ke lab par jo giran-bar si khamoshi hai baat sun kar bhi meri koi samajhta hi nahin shor ki sath pe tahdar si khamoshi hai kyon na is ko bhi kisi shakl mein dhaala jae ye jo atraf mein be-kar si khamoshi hai bagh mein jhula na sahra mein bagula koi samt-dar-samt pur-asrar si khamoshi hai chup ka matlab kabhi isbaat liya jata tha aaj isbaat mein inkar si khamoshi hai