ghazab hai daur-daura ab zamane mein jahaalat ka

ghazab hai daur-daura ab zamane mein jahaalat ka
sabaq sikha nahin jata buzurgon ki nasihat ka

nasab insan ka kya hai agar aadat na ho achchhi
sharif insan wahi hai jis mein jauhar ho sharafat ka

gharaz kya hai meri taqdir ko puchhe jo ye mujh se
talabgar aabru ka hai yahan tu ya zalalat ka

ek arman kam hua jab ek dushman kam hua mera
sabaq tu ne diya ai be-umidi mujh ko rahat ka

sakhi duniya mein ab aisa nahin jaisa ki hatim tha
yun charcha hota aaya hai bahut us ki sakhawat ka

hue aalat jang ke is qadar ijad duniya mein
zamane mein nahin hai daur-daura ab shujaat ka

adab ki mahfilen aabaad hain dam se hamare hi
hamara bagh hai urdu adab 'basir' fasahat ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close