hain nadan jo bhi insan un ki nadani nahin jati wo ladte rahte hain aur khu-e-haiwani nahin jati salaf ne jo banae the wo aiwan mit nahin sakte khade hain sar uthae shan-e-aiwani nahin jati jahan mein nek khaslat nek niyyat jo bhi hote hain jawani mein bhi un ki pak-damani nahin jati sitaron se faza shab ko munawwar hoti rahti hai magar un mein jo poshida hai virani nahin jati takhayyul mein tasawwur mein wo mere pas hote hain nigahon se zara un ki nigahbani nahin jati zamane mein hamara khun bahut arzan hai ai 'basir' kisi surat hamare khun ki arzani nahin jati