ghazab hai surma de kar aaj wo bahar nikalte hain abhi se kuchh dil-e-muztar par apne tir chalte hain zara dekho to ai ahl-e-sukhan zor-e-sanaat ko nai bandish hai majnun nur ke sanche mein dhalte hain bura ho ishq ka ye haal hai ab teri furqat mein ki chashm-e-khun-chakan se lakht-e-dil paiham nikalte hain hila denge abhi ai sang-dil tere kaleje ko hamari aah-e-atish-bar se patthar pighalte hain tera ubhra hua sina jo hum ko yaad aata hai to ai rashk-e-pari pahron kaf-e-afsos milte hain kisi pahlu nahin chain aata hai ushshaq ko tere tadapte hain fughan karte hain aur karwat badalte hain 'rasa' hajat nahin kuchh raushni ki kunj-e-marqad mein bajae-shama yan dagh-e-jigar har waqt jalte hain