faza-e-nam mein sadaon ka shor ho jae wo muskura de zara sa to bhor ho jae kabhi jo utrun main raqs-e-sukhan ke sahra mein to apna haal bhi manind-e-mor ho jae wo mai-kade se bhi nikle to pak-baz rahe main us ki aankhon se pi lun to shor ho jae nazar mein phul ho kaghaz pe ek sahra ho to yun ghazal ka koi or-chhor ho jae jo feal-e-asl ko main nazm karne baithun to badan se lahr uthe por por ho jae har ek raat wahi dish ho zaiqa bhi wahi to phir mizaj-e-tarah-dar bor ho jae ye shamiyana sukhan ka qarar-e-jaan thahra yahan qayam kare jo pator ho jae muraqiba mein koi aage chham se itrae to phir faqir ke dil mein bhi chor ho jae magar ye dil ki kisi aur ka nahin rakhta dimagh kahta hai tu meri aur ho jae wo ek badan ki jo sar-chashma-e-tasawwur ho to pa-barahna safar mein bhi zor ho jae jo sun le 'qasmi' teri ghazal to patthar bhi majal hai ki wo itna kathor ho jae