ghazal ghaalib na tanha mir se hai

ghazal 'ghaalib' na tanha 'mir' se hai
judi sad halqa-e-zanjir se hai

muqaddar ho chuki thi maut lekin
ye dil zinda kisi tadbir se hai

main manzar aur na pas-manzar ko dekhun
mujhe matlab teri taswir se hai

gire hote mere aansu to rota
ki tera gham meri taqdir se hai

main baitha hun dua se hath uthae
nadamat is qadar taqsir se hai

faqat duniya ise samjhun ki manun
teri mansha meri tashhir se hai

main khud saya hun 'afsar' apne qad ka
mera qamat meri tahrir se hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close