shoala-e-gul se rang-e-shafaq tak aariz-o-lab ki baat gai chhid gaya jab bhi tera qissa khatm hua din raat gai sukhe hont to bund ko tarse mina khali jam tahi lekin phir bhi chand labon tak saqi ki saughat gai sargoshi mein baat jo ki thi kya thi hum khud bhul gae lekin ek fasana ban kar duniya tak wo baat gai yaadon ke zahrile nashtar tut rahe hain rag rag mein barsa kar kuchh aise shoale ab ke baras barsat gai siski ek majbur dulhan ki zehn mein ubhri rah rah kar shahnai ki gunj mein 'afsar' jab bhi koi baraat gai