ghazal ka husn hai aur git ka shabab hai wo nasha hai jis mein sukhan ka wahi sharab hai wo use na dekh mahakta hua gulab hai wo na jaane kitni nigahon ka intikhab hai wo misal mil na saki kaenat mein us ki jawab us ka nahin koi la-jawab hai wo meri in aankhon ko tabir mil nahin pati jise main dekhta rahta hun aisa khwab hai wo na jaane kitne hijabon mein wo chhupa hai magar nigah-e-dil se jo dekhun to be-hijab hai wo ujale apne luta kar wo dub jaega hasin subh ka rakhshanda aaftab hai wo wo mujh se puchhne aaya hai mera haal 'afzal' jise bata na sakun dil mein iztirab hai wo
This is a great nasha ki shayari. Please share if you liked this!!!