ghazal kahti nahin hai bas lab-o-rukhsar ki baaten bayan karti hai wo ishq-o-wafa aur pyar ki baaten takallum ki nahin muhtaj aur na lab-kushai ki ishaaron mein bayan karti hai haal-e-zar ki baaten kahin kashti ke hachkole kahin ummid sahil ki kabhi maujon ke naghme hain kabhi manjdhaar ki baaten latafat is mein phulon ki to kanton ki chubhan bhi hai kahin ghungru ki aawazen kahin talwar ki baaten ye haq ki tarjuman munsif rafiq-e-raazdan sab kuchh junun ki anjuman mein phir dil-e-bedar ki baaten isi mein jam-e-jam jam-o-subu saqi-o-mai-khana ye aabid ka amal aur hasrat-e-mai-khwar ki baaten qalam ki nok par 'tabish' kai jazbe machalte hain waraq ko raazdan kar len karen asrar ki baaten