jafa-ju ne ki thi wafa ittifaqan bashar hai hui thi khata ittifaqan zamana mujhe rind kahne laga hai kabhi chakh liya tha maza ittifaqan meri zindagi dhal gai naghmagi mein suni thi kisi ki sada ittifaqan tere ek khat ne kiya raaz ifsha pada rah gaya tha khula ittifaqan meri be-khudi ne jahan la ke chhoda tere ghar ka tha rasta ittifaqan dhare rah gae azm-o-himmat ke dawe chali thi mukhalif hawa ittifaqan badi tez thi dhup nashtar ghamon ki pada rah mein mai-kada ittifaqan