ghazal ke shanon pe khwab-e-hasti ba-chashm-e-pur-nam thahar gae hain ye kis ne chhedi hai tan-e-mazi rabab-o-sargam thahar gae hain firaq rut mein akela manzil ki justuju mein nikal pada hun visal lamhon ke ham-qadam wo qadam dama-dam thahar gae hain abhi to socha tha teri mahfil mein hum na aaenge ab dobara ye kis sada ka guman hua hai ki yak-ba-yak hum thahar gae hain wo sath jab tak rahe hamare bahaar apne shabab par thi wo kya gae ki dil-o-nazar mein udas mausam thahar gae hain mohabbaton ke safir hum hain juda hai tarz-e-safar hamara jahan bhi zikr-e-wafa mila hai wahan pe paiham thahar gae hain ajal ki kirnon se hum kisi pal bhi khushk hone ke muntazir hain bahut ghanimat hai chand lamhe jo misl-e-shabnam thahar gae hain prem-agni mein jhulse naina ye puchh baithe hain aaj phir se ki barkha rut mein sakhi bata tu kahan pe baalam thahar gae hain jahan pe kal tak thi chhanw 'zakir' wahin pe thahri hai dhup ab ke ajab sitam hai kahin pe aa kar kahin ke mausam thahar gae hain